Saturday, June 7, 2014

Uljhi Hui Ye Meri Zindagi !!!

Tooti bikhari kuch unkahi, Uljhi hui Apne hi dhago me,
Kat ti jaa rahi hai meri zindagi !!!

Resham jaisi malmali lagti kabhi,
Kabhi khusk khayalo ki tarah ubharati,
Mere hi payal ke ghungroo ke jaisi,
Kabhi tadapti kabhi chanakti meri zindagi !!!

Kabhi to bekauf bin kisi baat hans deti hai,

Duniya ka darr ise satata kabhi,
Kasmkash ke dariya me gote lagati,
Bhawar me fasi, doobti kabhi ubharti meri zindagi !!!

Tooti bikhari kuch unkahi, Uljhi hui Apne hi dhago me,

Dekha to kuch gaanthe pad gayi hai,
Sochati hun kholne ki koshish karun,
Pur dhaage nazuk bahut hain, Kholna hai mujhe inhe dhyaan se,
Phir bhi kuch Dhaage toot Gaye Aur Kuch choot Gaye,
ab wo tute udhade dhaage tadap rahe hain,
Mujhe bula rahe hain,
Thoda Paas jaakar dekha Maine, tab samajh aaya,
Ye mere hi dil ke kuch tukde pade hain,
Kuch tute hue rishtey Aur kuch armaan pade hain !!!

Armaano se saji doli lagti kabhi,

Kabhi band pinjare me kaid chatpatati,
Khule aasmaan me baadlo ke beech,
Kabhi jhilmilati dhoop aur kabhi thandi chaon hai meri zindagi !!!

Pankh lagakar udti kabhi,

Kabhi Ek kadam badane se bhi katraati,
Tere mere is benaam rishtey ki tarah,
Kabhi sajti sawarti Aur kabhi bikharti meri zindagi !!!